kaise kaise raaz chhupane lagti hain
kaise kaise raaz chhupāne lagtī haiñ
āñkheñ kaise aañkh churāne lagtī haiñ
ḳhāmoshī se jab bhī ham do-chār hue
āvāzeñ āvāz lagāne lagtī haiñ
ishq kā dariyā aisā dariyā hai jis meñ
ummīdeñ din raat Thikāne lagtī haiñ
jañgal to jañgal the ab to shahroñ meñ
kyā kyā chīzeñ aañkh dikhāne lagtī haiñ
mujh ko bāhar jaate dekh ke zindāñ se
zanjīreñ tūfān uThāne lagtī haiñ
kaise kaise raaz chhupane lagti hain
aankhen kaise aankh churane lagti hain
KHamoshi se jab bhi hum do-chaar hue
aawazen aawaz lagane lagti hain
ishq ka dariya aisa dariya hai jis mein
ummiden din raat Thikane lagti hain
jangal to jangal the ab to shahron mein
kya kya chizen aankh dikhane lagti hain
mujh ko bahar jate dekh ke zindan se
zanjiren tufan uThane lagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.