kaise kaise sitam uThae hain
Interesting Fact
(October 4, 1961)
kaise kaise sitam uThā.e haiñ
zaḳhm khā kar bhī muskurā.e haiñ
ashk āñkhoñ meñ DabDabā.e haiñ
yā sitāre se jhilmilā.e haiñ
aap jab bhī chaman meñ aa.e haiñ
gul to gul ḳhaar muskurā.e haiñ
kyoñ na jaane ye dil meñ aatā hai
aap apne nahīñ parā.e haiñ
koī apnā mizāj-dāñ na milā
ham ne ḳhud apne naaz uThā.e haiñ
jinheñ ḳhāmoshiyoñ ne dohrāyā
ham ne vo giit gungunā.e haiñ
dīda-e-nīm-ḳhvāb shāhid hai
aap nīñdeñ churā ke laa.e haiñ
un par apnā gumān hotā hai
dīda-o-dil meñ yuuñ samā.e haiñ
pichhlī bātoñ kā zikr lā-hāsil
aaj insāñ kahāñ haiñ saa.e haiñ
raushnī lī na musta.ār kabhī
ḳhūn-e-dil se diye jalā.e haiñ
ḳhatm un par hai guftugū un kī
kuchh ishāre haiñ kuchh kinā.e haiñ
ham ne rangīnī-e-taḳhayyul se
kaise kaise chaman khilā.e haiñ
rahmat-e-haq ko josh aayā hai
jab bhī dast-e-duā uThā.e haiñ
ai ġham-e-ārzū tire hāthoñ
dil ne kyā kyā fareb khaa.e haiñ
aap rūTheñ magar ḳhayāl rahe
ham ne rūThe hue manā.e haiñ
ḳhair-maqdam kiyā hai yuuñ 'tālib'
un ke qadmoñ meñ dil bichhā.e haiñ
kaise kaise sitam uThae hain
zaKHm kha kar bhi muskurae hain
ashk aankhon mein DabDabae hain
ya sitare se jhilmilae hain
aap jab bhi chaman mein aae hain
gul to gul KHar muskurae hain
kyon na jaane ye dil mein aata hai
aap apne nahin parae hain
koi apna mizaj-dan na mila
hum ne KHud apne naz uThae hain
jinhen KHamoshiyon ne dohraya
hum ne wo git gungunae hain
dida-e-nim-KHwab shahid hai
aap ninden chura ke lae hain
un par apna guman hota hai
dida-o-dil mein yun samae hain
pichhli baaton ka zikr la-hasil
aaj insan kahan hain sae hain
raushni li na mustaar kabhi
KHun-e-dil se diye jalae hain
KHatm un par hai guftugu un ki
kuchh ishaare hain kuchh kinae hain
hum ne rangini-e-taKHayyul se
kaise kaise chaman khilae hain
rahmat-e-haq ko josh aaya hai
jab bhi dast-e-dua uThae hain
ai gham-e-arzu tere hathon
dil ne kya kya fareb khae hain
aap ruThen magar KHayal rahe
hum ne ruThe hue manae hain
KHair-maqdam kiya hai yun 'talib'
un ke qadmon mein dil bichhae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.