kaise kaise ye kamalat dikhaen baba
kaise kaise ye kamālāt dikhā.eñ baabā
log sūraj ko hathelī pe ugā.eñ baabā
duudh bachchoñ ko bhalā kaise pilā.eñ baabā
ek muddat huī faaqe se haiñ maa.eñ baabā
log ab us ko bhī autār samajh lete haiñ
chhīn letā hai jo bahnoñ kī ridā.eñ baabā
jism to jism haiñ jazbāt jhulas jaate haiñ
garm hotī haiñ bahut shahrī havā.eñ baabā
kachchī kaliyoñ ko hasīñ phuul banā detī haiñ
kitnī bad-zāt haiñ sūraj kī shuā.eñ baabā
dost haq baat pe goyā to haiñ lekin aise
jaise goyā hoñ ajantā kī guphā.eñ baabā
tauba kartī hai magar aaj nahīñ kal 'gulshan'
aaj to chhā.ī haiñ ghanghor ghaTā.eñ baabā
kaise kaise ye kamalat dikhaen baba
log suraj ko hatheli pe ugaen baba
dudh bachchon ko bhala kaise pilaen baba
ek muddat hui faqe se hain maen baba
log ab us ko bhi autar samajh lete hain
chhin leta hai jo bahnon ki ridaen baba
jism to jism hain jazbaat jhulas jate hain
garm hoti hain bahut shahri hawaen baba
kachchi kaliyon ko hasin phul bana deti hain
kitni bad-zat hain suraj ki shuaen baba
dost haq baat pe goya to hain lekin aise
jaise goya hon ajanta ki guphaen baba
tauba karti hai magar aaj nahin kal 'gulshan'
aaj to chhai hain ghanghor ghaTaen baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.