kaise kaTa ye shab ka safar dekhna bhi hai
kaise kaTā ye shab kā safar dekhnā bhī hai
bujhte diye ne vaqt-e-sahar dekhnā bhī hai
be-nām chāhatoñ kā asar dekhnā bhī hai
shāḳh-e-nazar pe husn-e-samar dekhnā bhī hai
ab ke use qarīb se chhūnā bhī hai zarūr
patthar hai aa.ina ki guhar dekhnā bhī hai
ye shahr chhoḌnā hai magar is se peshtar
us bevafā ko ek nazar dekhnā bhī hai
in āñsuoñ ke saath basārat hī bah na jaa.e
itnā na ro ai dīda-e-tar dekhnā bhī hai
mumkin nahīñ hai us ko lagātār dekhnā
ruk ruk ke us ko dekh agar dekhnā bhī hai
manzar hai dil-ḳharāsh magar dil kā kyā kareñ
go dekhnā nahīñ hai magar dekhnā bhī hai
is aas par khaḌe haiñ ki ik baar 'yūsufī'
us ne zarā palaT ke idhar dekhnā bhī hai
kaise kaTa ye shab ka safar dekhna bhi hai
bujhte diye ne waqt-e-sahar dekhna bhi hai
be-nam chahaton ka asar dekhna bhi hai
shaKH-e-nazar pe husn-e-samar dekhna bhi hai
ab ke use qarib se chhuna bhi hai zarur
patthar hai aaina ki guhar dekhna bhi hai
ye shahr chhoDna hai magar is se peshtar
us bewafa ko ek nazar dekhna bhi hai
in aansuon ke sath basarat hi bah na jae
itna na ro ai dida-e-tar dekhna bhi hai
mumkin nahin hai us ko lagatar dekhna
ruk ruk ke us ko dekh agar dekhna bhi hai
manzar hai dil-KHarash magar dil ka kya karen
go dekhna nahin hai magar dekhna bhi hai
is aas par khaDe hain ki ek bar 'yusufi'
us ne zara palaT ke idhar dekhna bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.