kaise KHud hi kahun ki kya hun main
kaise ḳhud hī kahūñ ki kyā huuñ maiñ
tum kaho tum ko kyā lagā huuñ maiñ
ab ke jab hosh aa gayā mujh ko
un ke kūche se jā rahā huuñ maiñ
niiñd meñ ḳhvāb dekhte haiñ sab
ḳhvāb meñ niiñd dekhtā huuñ maiñ
tum to mere liye khaḌe hote
tum ko mā'lūm thā na kyā huuñ maiñ
'shams' dair-o-haram kī bastī meñ
ek hī mai-kada bachā huuñ maiñ
kaise KHud hi kahun ki kya hun main
tum kaho tum ko kya laga hun main
ab ke jab hosh aa gaya mujh ko
un ke kuche se ja raha hun main
nind mein KHwab dekhte hain sab
KHwab mein nind dekhta hun main
tum to mere liye khaDe hote
tum ko ma'lum tha na kya hun main
'shams' dair-o-haram ki basti mein
ek hi mai-kada bacha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.