kaise log syane hain
kaise log syāne haiñ
soch meñ tāne-bāne haiñ
aao ik din mil baiTheñ
kitne hī afsāne haiñ
TañgaḌī māreñ lañgDā deñ
ye jo zaḳhm purāne haiñ
sachchā.ī se duur bahut
apne aaj Thikāne haiñ
sapnoñ se bāhar aao
tum ko ghaav dikhāne haiñ
ehsāshoñ ko dafnā do
gar rishte mahkāne haiñ
ye misre kyā sīdhe haiñ
'tapish' tumheñ ham jaane haiñ
kaise log syane hain
soch mein tane-bane hain
aao ek din mil baiThen
kitne hi afsane hain
TangaDi maren langDa den
ye jo zaKHm purane hain
sachchai se dur bahut
apne aaj Thikane hain
sapnon se bahar aao
tum ko ghaw dikhane hain
ehsashon ko dafna do
gar rishte mahkane hain
ye misre kya sidhe hain
'tapish' tumhein hum jaane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.