kaise meri ye KHamoshi ka sabab samjhenge
kaise merī ye ḳhamoshī kā sabab samjheñge
sune jaane kī to gūñge hī talab samjheñge
ye nahīñ samjheñge ik roz samajh aaya mujhe
maiñ samajhtā thā ki ab samjheñge ab samjheñge
ab ġhalat-fahmiyāñ dil paal rahā hai jānāñ
lab se Takrātī havā ko tire lab samjheñge
jeb ḳhālī hai to ik baat samajh aa.ī hai
jeb bharte hī mirī bātoñ ko sab samjheñge
kisī ik shaḳhs kī ḳhātir ye ġhazal likkhī hai
kaise ummīd karūñ DeḌh arab samjheñge
pahle shā'ir ne to bas dard likhā thā apnā
use mā'lūm na thā log adab samjheñge
farq ab bhuul ga.iiñ āñkheñ añdheroñ meñ jī
badlī aa.egī to ham us ko bhī shab samjheñge
kaise meri ye KHamoshi ka sabab samjhenge
sune jaane ki to gunge hi talab samjhenge
ye nahin samjhenge ek roz samajh aaya mujhe
main samajhta tha ki ab samjhenge ab samjhenge
ab ghalat-fahmiyan dil pal raha hai jaanan
lab se Takraati hawa ko tere lab samjhenge
jeb KHali hai to ek baat samajh aai hai
jeb bharte hi meri baaton ko sab samjhenge
kisi ek shaKHs ki KHatir ye ghazal likkhi hai
kaise ummid karun DeDh arab samjhenge
pahle sha'ir ne to bas dard likha tha apna
use ma'lum na tha log adab samjhenge
farq ab bhul gain aankhen andheron mein ji
badli aaegi to hum us ko bhi shab samjhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.