kaise nazar jhukaun tujhe dekhne ke baad
kaise nazar jhukā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
kis gosha chain pā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
āñkhoñ ko maltā jā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
qismat buland pā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
qisse tujhe ḳhayāloñ meñ shab-bhar sunā.ūñ maiñ
par bol bhī na pā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
mushkil hai phir bhī jī to rahā huuñ tire binā
ḳhushiyoñ se mar na jā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
har gaam terā charchā hamāre nagar meñ hai
kyā kyā sunūñ sunā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
kahte haiñ tujh ko dekheñ to ho jaate haiñ tire
īmān kis pe lā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
bhūlā nahīñ huuñ ġharche maiñ lamha bhī hijr kā
ḳhud ko na bhuul jā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
yuuñ to har ik zamīñ meñ qasīde kahe tire
chal phir qalam uThā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
'ġhaurī' to lā-shu'ūr hai mujh ko dikhe to maiñ
fan apnā āzmā.ūñ tujhe dekhne ke baa'd
kaise nazar jhukaun tujhe dekhne ke ba'd
kis gosha chain paun tujhe dekhne ke ba'd
aankhon ko malta jaun tujhe dekhne ke ba'd
qismat buland paun tujhe dekhne ke ba'd
qisse tujhe KHayalon mein shab-bhar sunaun main
par bol bhi na paun tujhe dekhne ke ba'd
mushkil hai phir bhi ji to raha hun tere bina
KHushiyon se mar na jaun tujhe dekhne ke ba'd
har gam tera charcha hamare nagar mein hai
kya kya sunun sunaun tujhe dekhne ke ba'd
kahte hain tujh ko dekhen to ho jate hain tere
iman kis pe laun tujhe dekhne ke ba'd
bhula nahin hun gharche main lamha bhi hijr ka
KHud ko na bhul jaun tujhe dekhne ke ba'd
yun to har ek zamin mein qaside kahe tere
chal phir qalam uThaun tujhe dekhne ke ba'd
'ghauri' to la-shu'ur hai mujh ko dikhe to main
fan apna aazmaun tujhe dekhne ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.