kaise ruk sakta tha jo kar-e-ziyan hone ko tha
kaise ruk sakta tha jo kar-e-ziyan hone ko tha
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
kaise ruk saktā thā jo kār-e-ziyāñ hone ko thā
ya.anī sab kuchh tai-shuda thā jo yahāñ hone ko thā
kuchh badan ke the taqāze kuchh sharārat dil kī thī
aaj lekin ishq apnā jāvedāñ hone ko thā
haañ vahī jo shaḳhs mujh se buġhz rakhtā hai bahut
raat merī zaat par vo meherbāñ hone ko thā
maiñ ne hī alfāz meñ us ko muqayyad kar liyā
varna vo lamha to kal hī rā.egāñ hone ko thā
maiñ ne kal ishkāl saare ḳhatm us ke kar diye
varna merī zaat se vo bad-gumāñ hone ko thā
kaise ruk sakta tha jo kar-e-ziyan hone ko tha
yani sab kuchh tai-shuda tha jo yahan hone ko tha
kuchh badan ke the taqaze kuchh shararat dil ki thi
aaj lekin ishq apna jawedan hone ko tha
han wahi jo shaKHs mujh se bughz rakhta hai bahut
raat meri zat par wo meherban hone ko tha
main ne hi alfaz mein us ko muqayyad kar liya
warna wo lamha to kal hi raegan hone ko tha
main ne kal ishkal sare KHatm us ke kar diye
warna meri zat se wo bad-guman hone ko tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.