kaise safar par nikla hun
kaise safar par niklā huuñ
muḌ muḌ kar kyā taktā huuñ
jaane phir kab lauTuñgā
sab se mil kar aayā huuñ
ruuTh ga.ī manzil kaisī
galiyoñ galiyoñ bhaTkā huuñ
koī mujh ko kyuuñ gaay
dard bharā ik naġhma huuñ
kyā hogī ta.abīr mirī
ik muflis kā sapnā huuñ
zaḳhm tumhārī yādoñ ke
ab ashkoñ se dhotā huuñ
koī nahīñ merā sāthī
ik bādal āvāra huuñ
dekh mire dil meñ aa kar
jhūTā huuñ yā sachchā huuñ
'ārif' is dil ke hāthoñ
martā huuñ aur jiitā huuñ
kaise safar par nikla hun
muD muD kar kya takta hun
jaane phir kab lauTunga
sab se mil kar aaya hun
ruTh gai manzil kaisi
galiyon galiyon bhaTka hun
koi mujh ko kyun gay
dard bhara ek naghma hun
kya hogi tabir meri
ek muflis ka sapna hun
zaKHm tumhaari yaadon ke
ab ashkon se dhota hun
koi nahin mera sathi
ek baadal aawara hun
dekh mere dil mein aa kar
jhuTa hun ya sachcha hun
'arif' is dil ke hathon
marta hun aur jita hun
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 147)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.