kaise samjhaunga un ko ki pari aaegi
kaise samjhā.ūñgā un ko ki parī aa.egī
merī bātoñ pe jinheñ sirf hañsī aa.egī
aañkh mūñde hue ḳhalvat meñ paḌā sochtā huuñ
merī vahshat meñ kabhī koī kamī aa.egī
us ne sargoshī meñ ik ranj diyā aur kahā
aate aate hī tujhe nauhagarī aa.egī
bas isī baat se pahchān liyā jā.egā
muskurā.ūñgā to āñkhoñ meñ namī aa.egī
do-jahāñ tasht meñ rakh kar use lauTā dūñgā
mere hisse meñ agar terī kamī aa.egī
kaise samjhaunga un ko ki pari aaegi
meri baaton pe jinhen sirf hansi aaegi
aankh munde hue KHalwat mein paDa sochta hun
meri wahshat mein kabhi koi kami aaegi
us ne sargoshi mein ek ranj diya aur kaha
aate aate hi tujhe nauhagari aaegi
bas isi baat se pahchan liya jaega
muskuraunga to aankhon mein nami aaegi
do-jahan tasht mein rakh kar use lauTa dunga
mere hisse mein agar teri kami aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.