kaise samjhega sadaf ka wo guhar se rishta
kaise samjhegā sadaf kā vo guhar se rishta
jo samajh paa.e na āñkhoñ kā nazar se rishta
mo'atabar sar hī banā lo to bahut achchhā hai
kam hī rah paatā hai dastār kā sar se rishta
hai ġharīboñ kā amīroñ se ta.alluq itnā
jitnā hotā hai charāġhoñ kā sahar se rishta
be-asar jab haiñ zabāneñ to kiyā kyā jaa.e
varna rakhtī haiñ duā.eñ bhī asar se rishta
ham ne rusvā.ī kī us vaqt se chādar oḌhī
jis ghaḌī toḌ diyā thā tire dar se rishta
dil kā rishta bhī agar socho to kyā rishta hai
nibh rahā hai isī rishte ke asar se rishta
justujū us kī ḳhudā jaane hai kis manzil tak
ḳhatm hotā nahīñ 'aḳhtar' kā safar se rishta
kaise samjhega sadaf ka wo guhar se rishta
jo samajh pae na aankhon ka nazar se rishta
mo'atabar sar hi bana lo to bahut achchha hai
kam hi rah pata hai dastar ka sar se rishta
hai gharibon ka amiron se talluq itna
jitna hota hai charaghon ka sahar se rishta
be-asar jab hain zabanen to kiya kya jae
warna rakhti hain duaen bhi asar se rishta
hum ne ruswai ki us waqt se chadar oDhi
jis ghaDi toD diya tha tere dar se rishta
dil ka rishta bhi agar socho to kya rishta hai
nibh raha hai isi rishte ke asar se rishta
justuju us ki KHuda jaane hai kis manzil tak
KHatm hota nahin 'aKHtar' ka safar se rishta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.