kaise samjhegi wo kya duniya-dari hai
kaise samjhegī vo kyā duniyā-dārī hai
us ne to tujh par saarī duniyā vaarī hai
tum ko chāheñ bhī aur ġhair ke saath bhī dekheñ
tum kyā jaano ishq kī kyā kyā lāchārī hai
jis meñ tum ne merī peshānī chūmī thī
saarī haqīqat par vo ik sapnā bhārī hai
jiite jiite jīvan se thak jaane vaalo
mar kar dekho marne meñ kyā dushvārī hai
chaa.e ke do cup balcony aur 'faiz' kī nazmeñ
tum bin bhī ye ma.amūl hamārā jaarī hai
kaise samjhegi wo kya duniya-dari hai
us ne to tujh par sari duniya wari hai
tum ko chahen bhi aur ghair ke sath bhi dekhen
tum kya jaano ishq ki kya kya lachaari hai
jis mein tum ne meri peshani chumi thi
sari haqiqat par wo ek sapna bhaari hai
jite jite jiwan se thak jaane walo
mar kar dekho marne mein kya dushwari hai
chae ke do cup balcony aur 'faiz' ki nazmen
tum bin bhi ye mamul hamara jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.