Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise sham-o-sahar ho gae

Niyaz Gulbargavi

kaise sham-o-sahar ho gae

Niyaz Gulbargavi

MORE BYNiyaz Gulbargavi

    kaise shām-o-sahar ho ga.e

    ham idhar tum udhar ho ga.e

    aap jo ham-safar ho ga.e

    rāste muḳhtasar ho ga.e

    chhoḌ kar āstāna tirā

    jaane kyoñ dar-ba-dar ho ga.e

    ham samajhte the be-bāl-o-par

    ham na hoñge magar ho ga.e

    e.atibār-e-masarrat kahāñ

    dard-o-ġham mo'atabar ho ga.e

    kyā batā.eñ kaTī kaise shab

    kis tarah din basar ho ga.e

    kaise sham-o-sahar ho gae

    hum idhar tum udhar ho gae

    aap jo ham-safar ho gae

    raste muKHtasar ho gae

    chhoD kar aastana tera

    jaane kyon dar-ba-dar ho gae

    hum samajhte the be-baal-o-par

    hum na honge magar ho gae

    eatibar-e-masarrat kahan

    dard-o-gham mo'atabar ho gae

    kya bataen kaTi kaise shab

    kis tarah din basar ho gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now