kaise shoalon pe chal raha hai dil
kaise sho.aloñ pe chal rahā hai dil
chāñdnī meñ bhī jal rahā hai dil
dhīre dhīre use bhulā dūñgā
rafta rafta sañbhal rahā hai dil
tum ne duzdīda us ko dekhā hai
jaane kyoñ phir uchhal rahā hai dil
laakh Dhaa.e sitam haiñ tū ne par
ḳhāmushī se aTal rahā hai dil
chāñd hai mere saath bistar meñ
chāñdnī meñ Tahal rahā hai dil
ek bachche sā mujh meñ rahtā hai
be-tahāsha machal rahā hai dil
garmiyoñ se tumhārī sāñsoñ kī
qatra qatra pighal rahā hai dil
kaise shoalon pe chal raha hai dil
chandni mein bhi jal raha hai dil
dhire dhire use bhula dunga
rafta rafta sanbhal raha hai dil
tum ne duzdida us ko dekha hai
jaane kyon phir uchhal raha hai dil
lakh Dhae sitam hain tu ne par
KHamushi se aTal raha hai dil
chand hai mere sath bistar mein
chandni mein Tahal raha hai dil
ek bachche sa mujh mein rahta hai
be-tahasha machal raha hai dil
garmiyon se tumhaari sanson ki
qatra qatra pighal raha hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.