kaise sunaun gham ki kahani sanson par hai bar bahut
kaise sunā.ūñ ġham kī kahānī sāñsoñ par hai baar bahut
maazī kahtā hai kah jaao haal ko hai inkār bahut
aap pashemāñ āḳhir kyoñ haiñ mujh ko kuchh bhī yaad nahīñ
kis kī mohabbat kaisī kahānī kis se kiyā thā pyaar bahut
TuuTā maazī kā ā.īna yādoñ kī bikhrī kircheñ
zehn ke zaḳhmī talve ab haiñ chalne se bezār bahut
pau phūTe par kashti-e-dil thī varta-e-zulmat hī meñ abhī
yuuñ to chalā.ī shab ke samundar meñ ham ne patvār bahut
bhaag chalūñ yādoñ ke zindāñ se aksar sochā lekin
jab bhī qasd kiyā to dekhā ūñchī hai dīvār bahut
ThiThkā to thā phir jaane kyā soch ke aage baḌhtā gayā
pā-e-vafā meñ yuuñ to chubhe the terī jafā ke ḳhaar bahut
tark-e-ta.alluq se ik merā dil hī nahīñ hai kuchh zaḳhmī
tiir hue hī hoñge tere siine ke bhī paar bahut
kaise sunaun gham ki kahani sanson par hai bar bahut
mazi kahta hai kah jao haal ko hai inkar bahut
aap pasheman aaKHir kyon hain mujh ko kuchh bhi yaad nahin
kis ki mohabbat kaisi kahani kis se kiya tha pyar bahut
TuTa mazi ka aaina yaadon ki bikhri kirchen
zehn ke zaKHmi talwe ab hain chalne se bezar bahut
pau phuTe par kashti-e-dil thi warta-e-zulmat hi mein abhi
yun to chalai shab ke samundar mein hum ne patwar bahut
bhag chalun yaadon ke zindan se aksar socha lekin
jab bhi qasd kiya to dekha unchi hai diwar bahut
ThiThka to tha phir jaane kya soch ke aage baDhta gaya
pa-e-wafa mein yun to chubhe the teri jafa ke KHar bahut
tark-e-talluq se ek mera dil hi nahin hai kuchh zaKHmi
tir hue hi honge tere sine ke bhi par bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.