kaise tufan is safar mein hain
kaise tūfān is safar meñ haiñ
jaise kuchh hādse nazar meñ haiñ
mere bhī dil meñ raakh uḌtī hai
tere bhī ḳhvāb is asar meñ haiñ
vo ghanā peḌ ho ki sāya-talab
āḳhirash sab hī chashm-e-tar meñ haiñ
pyaas se dam mirā bhī ghuTtā hai
shab ke sannāTe bhī ḳhabar meñ haiñ
ḳhvāhish-e-be-navā hai jab se sivā
tere afsāne har nagar meñ haiñ
kaise tufan is safar mein hain
jaise kuchh hadse nazar mein hain
mere bhi dil mein rakh uDti hai
tere bhi KHwab is asar mein hain
wo ghana peD ho ki saya-talab
aaKHirash sab hi chashm-e-tar mein hain
pyas se dam mera bhi ghuTta hai
shab ke sannaTe bhi KHabar mein hain
KHwahish-e-be-nawa hai jab se siwa
tere afsane har nagar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.