kaise TuTa hai aaina dil ka
kaise TuuTā hai aa.ina dil kā
kaun pūchhegā mājrā dil kā
ruuTh kar ḳhud hī maan jaatā hai
chaltā rahtā hai silsila dil kā
kyā ḳhabar kab kisī pe aa jaa.e
kyā bharosa hai be-vafā dil kā
ab kaleja na muñh ko aa jaa.e
ham ne maanā thā bas kahā dil kā
dil se ummīd dil ko hotī hai
dil hī hotā hai aasrā dil kā
log patthar ko dil samajhte haiñ
aur banāte haiñ aa.ina dil kā
kaise TuTa hai aaina dil ka
kaun puchhega majra dil ka
ruTh kar KHud hi man jata hai
chalta rahta hai silsila dil ka
kya KHabar kab kisi pe aa jae
kya bharosa hai be-wafa dil ka
ab kaleja na munh ko aa jae
hum ne mana tha bas kaha dil ka
dil se ummid dil ko hoti hai
dil hi hota hai aasra dil ka
log patthar ko dil samajhte hain
aur banate hain aaina dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.