kaise usko bhul sake dil kaise apne ji ko sanbhaale
kaise usko bhul sake dil kaise apne ji ko sanbhaale
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
kaise us ko bhuul sake dil kaise apne jī ko sañbhāle
us kī sūrat goshe goshe us kī mūrat aale aale
us kī ziyā se chāñdnī chhiTkī us kī sadā se ġhunche chaTke
us ko chhū kar kyā pūchho ho bād-e-sabā ne pair nikāle
us kī adā par mar miTtā hai us ke naam pe jī uThtā hai
jaane us meñ aisā kyā hai jo bhī dekhe dil de Daale
us kā takallum rūh-e-ġhazal hai us kī ḳhamoshī mauja-e-tuġhyāñ
bastī bastī us ke charche dariyā dariyā us ke naale
sab ke diloñ par us kī hukūmat sab ke laboñ par us kī shikāyat
nīchī nazar se jī ḳhush kar de tirchhī nazar se maar bhī Daale
dar par us ke bhiiḌ lagī hai ḳhilqat hai ki TuuT paḌī hai
ik aafat meñ jaan phañsī hai kis ko roke kis ko Taale
naddī naale suukh chuke haiñ sahrāoñ se chashme uble
aañkh se aañsū ḳhushk hue to phuuT ke ro.e paañv ke chhāle
bint-e-‘inab gar saath na detī furqat kī shab aañkh na lagtī
jām-e-mai-e-gul-fām ke sadqe jis ne aañkh meñ Dore Daale
tum ne to dekhā hai un ko yaad to hoñge tum ko bhī vo
sīdhe-sāde bhole-bhāle ek 'tamīz' jī dillī vaale
kaise us ko bhul sake dil kaise apne ji ko sanbhaale
us ki surat goshe goshe us ki murat aale aale
us ki ziya se chandni chhiTki us ki sada se ghunche chaTke
us ko chhu kar kya puchho ho baad-e-saba ne pair nikale
us ki ada par mar miTta hai us ke nam pe ji uThta hai
jaane us mein aisa kya hai jo bhi dekhe dil de Dale
us ka takallum ruh-e-ghazal hai us ki KHamoshi mauja-e-tughyan
basti basti us ke charche dariya dariya us ke nale
sab ke dilon par us ki hukumat sab ke labon par us ki shikayat
nichi nazar se ji KHush kar de tirchhi nazar se mar bhi Dale
dar par us ke bhiD lagi hai KHilqat hai ki TuT paDi hai
ek aafat mein jaan phansi hai kis ko roke kis ko Tale
naddi nale sukh chuke hain sahraon se chashme uble
aankh se aansu KHushk hue to phuT ke roe panw ke chhaale
bint-e-‘inab gar sath na deti furqat ki shab aankh na lagti
jam-e-mai-e-gul-fam ke sadqe jis ne aankh mein Dore Dale
tum ne to dekha hai un ko yaad to honge tum ko bhi wo
sidhe-sade bhole-bhaale ek 'tamiz' ji dilli wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.