kaisi chali hawa ki ghaTa gham ki chha gai
kaisī chalī havā ki ghaTā ġham kī chhā ga.ī
raushan thā ik charāġh mohabbat bujhā ga.ī
kyā jaane us ke dar pe kyoñ itnā sukūn thā
vahshat ke bāvajūd mujhe niiñd aa ga.ī
muddat se apne aap meñ bikhrā huā thā maiñ
duniyā mire vajūd meñ kaise samā ga.ī
apnoñ ke darmiyāñ bhī ghuTan se lagī mujhe
rishtoñ kī justujū ye kahāñ le ke aa ga.ī
jab tak ki sar hamārā rahā raushnī rahī
neze pe us ke baad udāsī sī chhā ga.ī
kal tak to ehtijāj tumhāre lahū meñ thā
yaaro ye kaise duniyā tumheñ raas aa ga.ī
hairat se dekhtī rahī mujh ko zamīñ 'qamar'
miTTī ko merī arsh pe le kar havā ga.ī
kaisi chali hawa ki ghaTa gham ki chha gai
raushan tha ek charagh mohabbat bujha gai
kya jaane us ke dar pe kyon itna sukun tha
wahshat ke bawajud mujhe nind aa gai
muddat se apne aap mein bikhra hua tha main
duniya mere wajud mein kaise sama gai
apnon ke darmiyan bhi ghuTan se lagi mujhe
rishton ki justuju ye kahan le ke aa gai
jab tak ki sar hamara raha raushni rahi
neze pe us ke baad udasi si chha gai
kal tak to ehtijaj tumhaare lahu mein tha
yaro ye kaise duniya tumhein ras aa gai
hairat se dekhti rahi mujh ko zamin 'qamar'
miTTi ko meri arsh pe le kar hawa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.