kaisi jadu-bayaniyan hum the
kaisī jādū-bayāniyāñ ham the
jab tumhārī kahāniyāñ ham the
hameñ DhūñDo na rā.egānī meñ
rā.egāñ rā.egāniyāñ ham the
jin ko honā thā be-nishāñ ik din
chand aisī nishāniyāñ ham the
naddiyāñ thiiñ kisī ke hoñThoñ meñ
naddiyoñ kī ravāniyāñ ham the
ik bagūle ne ye kahā mujh se
terī rātoñ kī rāniyāñ ham the
tere hoñThoñ meñ tere 'āriz meñ
har taraf guf-fishāniyāñ ham the
yūñhī hone ko ho ga.e vāqe'
nāgahāñ nāgahāniyāñ ham the
ab bhī tishna-dahāniyāñ ham haiñ
jab bhī tishna-dahāniyāñ ham the
kaisi jadu-bayaniyan hum the
jab tumhaari kahaniyan hum the
hamein DhunDo na raegani mein
raegan raeganiyan hum the
jin ko hona tha be-nishan ek din
chand aisi nishaniyan hum the
naddiyan thin kisi ke honThon mein
naddiyon ki rawaniyan hum the
ek bagule ne ye kaha mujh se
teri raaton ki raniyan hum the
tere honThon mein tere 'ariz mein
har taraf guf-fishaniyan hum the
yunhi hone ko ho gae waqe'
nagahan nagahaniyan hum the
ab bhi tishna-dahaniyan hum hain
jab bhi tishna-dahaniyan hum the
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 30)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.