kaisi kaisi nahin karta raha man-mani main
kaisī kaisī nahīñ kartā rahā man-mānī maiñ
soch kar apne liye likhtā thā lā-fānī maiñ
bhiiḌ meñ sab kī tarah zulm pe chup-chāp rahā
aaj phir ik daf.a mar gayā insānī maiñ
paidā hone ke to matlab na rahe hoñge kuchh
bas ki ab marnā nahīñ chāhtā be-ma.anī maiñ
ek tārīḳh kī ta.amīr kare vo lamha
ek samundar jo rache buuñd vahī ya.anī maiñ
kaisi kaisi nahin karta raha man-mani main
soch kar apne liye likhta tha la-fani main
bhiD mein sab ki tarah zulm pe chup-chap raha
aaj phir ek dafa mar gaya insani main
paida hone ke to matlab na rahe honge kuchh
bas ki ab marna nahin chahta be-mani main
ek tariKH ki tamir kare wo lamha
ek samundar jo rache bund wahi yani main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.