kaisi kaisi thin unhi galiyon mein zeba suraten
kaisi kaisi thin unhi galiyon mein zeba suraten
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
kaisī kaisī thiiñ unhī galiyoñ meñ zebā sūrateñ
yaad ik ik moḌ pe aatī haiñ kyā kyā sūrateñ
nīm-shab hote haiñ vā jis dam darīche yaad ke
kis adā se jhāñktī haiñ ab vo rā.anā sūrateñ
sūrateñ kuchh dekh kar aisā bhī aatā thā ḳhayāl
ḳhaak se aisī kahāñ hotī haiñ paidā sūrateñ
luuT kar pahle-pahal aa.e the jab us shahr se
ajnabī lagtī thiiñ āñkhoñ ko shanāsā sūrateñ
aaj tak vo dil kī dīvāroñ pe kanda haiñ 'bashīr'
phir nazar aa.eñ nahīñ jo māh-sīmā sūrateñ
kaisi kaisi thin unhi galiyon mein zeba suraten
yaad ek ek moD pe aati hain kya kya suraten
nim-shab hote hain wa jis dam dariche yaad ke
kis ada se jhankti hain ab wo raana suraten
suraten kuchh dekh kar aisa bhi aata tha KHayal
KHak se aisi kahan hoti hain paida suraten
luT kar pahle-pahal aae the jab us shahr se
ajnabi lagti thin aankhon ko shanasa suraten
aaj tak wo dil ki diwaron pe kanda hain 'bashir'
phir nazar aaen nahin jo mah-sima suraten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.