kaisi mushkil ghaDi hai dekho na
kaisī mushkil ghaḌī hai dekho na
sab ko apnī paḌī hai dekho na
us ke jaane se ruk ga.ī thī jo
zindagī chal paḌī hai dekho na
barg-e-gul par vo motī sī shabnam
gul se kyoñ laḌ paḌī hai dekho na
koī shāyad ki ro rahā hogā
kaisī rim-jhim jhaḌī hai dekho na
jis ko nazdīk mere rahnā thā
duur vo kyoñ khaḌī hai dekho na
kaisi mushkil ghaDi hai dekho na
sab ko apni paDi hai dekho na
us ke jaane se ruk gai thi jo
zindagi chal paDi hai dekho na
barg-e-gul par wo moti si shabnam
gul se kyon laD paDi hai dekho na
koi shayad ki ro raha hoga
kaisi rim-jhim jhaDi hai dekho na
jis ko nazdik mere rahna tha
dur wo kyon khaDi hai dekho na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.