kaisi ruki hui thi rawani meri taraf
kaisī rukī huī thī ravānī mirī taraf
Thahrā huā thā apnā hī paanī mirī taraf
tahrīr meñ bhī jo vo misāl apnī aap hai
paiġhām bhejtā hai zabānī mirī taraf
pattoñ kā rañg thā ki huā aur bhī harā
chaltī rahī havā-e-ḳhizānī mirī taraf
hai koī āsmān meñ jis kī taraf se roz
aatī hai ek yād-dahānī mirī taraf
lafzoñ kā bojh rahtā hai sar par shabāna roz
rahtī hai guftugū kī girānī mirī taraf
kirdār us ko DhūñDte phirte haiñ jā-ba-jā
gum aa ke ho ga.ī hai kahānī mirī taraf
the us kī dastaras meñ ajā.ib to besh-tar
bhejī na us ne koī nishānī mirī taraf
rahtā hai lafz lafz koī shor mujh se duur
kartī hai zor mauj-e-ma.ānī mirī taraf
jab koī bhī nahīñ hai to phir raat bhar 'zafar'
hotā hai kaun aake bayānī mirī taraf
kaisi ruki hui thi rawani meri taraf
Thahra hua tha apna hi pani meri taraf
tahrir mein bhi jo wo misal apni aap hai
paigham bhejta hai zabani meri taraf
patton ka rang tha ki hua aur bhi hara
chalti rahi hawa-e-KHizani meri taraf
hai koi aasman mein jis ki taraf se roz
aati hai ek yaad-dahani meri taraf
lafzon ka bojh rahta hai sar par shabana roz
rahti hai guftugu ki girani meri taraf
kirdar us ko DhunDte phirte hain ja-ba-ja
gum aa ke ho gai hai kahani meri taraf
the us ki dastaras mein ajaib to besh-tar
bheji na us ne koi nishani meri taraf
rahta hai lafz lafz koi shor mujh se dur
karti hai zor mauj-e-maani meri taraf
jab koi bhi nahin hai to phir raat bhar 'zafar'
hota hai kaun aake bayani meri taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.