kaisi tanhai hai nazaron mein
kaisī tanhā.ī hai nazāroñ meñ
saañs ruktā hai ḳhār-zāroñ meñ
ye jo chehra hai kitnā bojhal hai
dard hai kis qadar sharāroñ meñ
maiñ use yaad kar ke rotā huuñ
bas vahī ek thā hazāroñ meñ
ḳhushbueñ us kī saath laate haiñ
phuul khilte haiñ jab bahāroñ meñ
aaj khiḌkī meñ us ne aanā hai
lag ga.e haiñ sabhī qatāroñ meñ
TimTimā kar bulā rahe haiñ jo
aao chalte haiñ un sitāroñ meñ
ye jo sab haiñ ye kitne dilkash haiñ
farq kaise karūñ maiñ pyāroñ meñ
ye rakho ye tumhārā apnā hai
sharm hotī nahīñ hai yāroñ meñ
rāsta hai na jin kī manzil hai
'sabz' shāmil hai un savāroñ meñ
kaisi tanhai hai nazaron mein
sans rukta hai KHar-zaron mein
ye jo chehra hai kitna bojhal hai
dard hai kis qadar shararon mein
main use yaad kar ke rota hun
bas wahi ek tha hazaron mein
KHushbuen us ki sath late hain
phul khilte hain jab bahaaron mein
aaj khiDki mein us ne aana hai
lag gae hain sabhi qataron mein
TimTima kar bula rahe hain jo
aao chalte hain un sitaron mein
ye jo sab hain ye kitne dilkash hain
farq kaise karun main pyaron mein
ye rakho ye tumhaara apna hai
sharm hoti nahin hai yaron mein
rasta hai na jin ki manzil hai
'sabz' shamil hai un sawaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.