kaisi waraftagi se dekhe hai
kaisī vāraftagī se dekhe hai
aadmī aadmī ko dekhe hai
jaag jaa.e hai hasrat-e-dīdār
jab bhī koī kisī ko dekhe hai
itnā saada to vo nahīñ lagtā
jis qadar sādgī se dekhe hai
us ko fursat se dekhtī huuñ maiñ
vo jo kam-fursatī se dekhe hai
tere chehre pe kyā nazar jaa.e
dil tirī kaj-ravī ko dekhe hai
kyoñ na jalvoñ kī dil pe bārish ho
tujh se baḌh kar tujhī ko dekhe hai
dekh kar us ko dekhnā hai yahī
koī kab tak kisī ko dekhe hai
maiñ mohabbat se us ko taktī huuñ
aur vo dushmanī se dekhe hai
kyoñ na āñkheñ phir us kī dariyā hoñ
jo musalsal namī ko dekhe hai
chāñd kī apnī raushnī hai 'sahar'
chāñd kab chāñdnī ko dekhe hai
kaisi waraftagi se dekhe hai
aadmi aadmi ko dekhe hai
jag jae hai hasrat-e-didar
jab bhi koi kisi ko dekhe hai
itna sada to wo nahin lagta
jis qadar sadgi se dekhe hai
us ko fursat se dekhti hun main
wo jo kam-fursati se dekhe hai
tere chehre pe kya nazar jae
dil teri kaj-rawi ko dekhe hai
kyon na jalwon ki dil pe barish ho
tujh se baDh kar tujhi ko dekhe hai
dekh kar us ko dekhna hai yahi
koi kab tak kisi ko dekhe hai
main mohabbat se us ko takti hun
aur wo dushmani se dekhe hai
kyon na aankhen phir us ki dariya hon
jo musalsal nami ko dekhe hai
chand ki apni raushni hai 'sahar'
chand kab chandni ko dekhe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.