kaisi waba-e-KHauf zamin par hai in dinon
kaisī vabā-e-ḳhauf zamīñ par hai in dinoñ
har ehtiyāt ġhair-muassar hai in dinoñ
tapte hue amaan ke sahrā haiñ āj-kal
sūkhā huā karam kā samandar hai in dinoñ
har lahza maiñ ghaḌe kī taraf chakkaroñ meñ huuñ
har aan merī choñch meñ patthar hai in dinoñ
jaao kahīñ nivāla-e-yājūj ban raho
mau'ūd-e-vaqt ġhaar ke andar hai in dinoñ
kis bachche ko sunā.ūñ maiñ pariyoñ kī dāstān
ye bhuuk kī chuḌail to ghar ghar hai in dinoñ
is daur meñ to pāgalo dhandā haiñ qurbateñ
dekho mafād soch kā mehvar hai in dinoñ
bujh kar hai fī-zamāna nazar aur ḳhush-nazar
dil aur dil-fareb ujaḌ kar hai in dinoñ
ye shāhrāh-e-dil hī sirhānā hai āj-kal
ye gard-e-rāhgīr hī bistar hai in dinoñ
bigḌā hai āftāb-e-muqaddar kā muñh 'zubair'
sar par ḳhayāl-e-yār kī chādar hai in dinoñ
kaisi waba-e-KHauf zamin par hai in dinon
har ehtiyat ghair-muassar hai in dinon
tapte hue aman ke sahra hain aaj-kal
sukha hua karam ka samandar hai in dinon
har lahza main ghaDe ki taraf chakkaron mein hun
har aan meri chonch mein patthar hai in dinon
jao kahin niwala-e-yajuj ban raho
mau'ud-e-waqt ghaar ke andar hai in dinon
kis bachche ko sunaun main pariyon ki dastan
ye bhuk ki chuDail to ghar ghar hai in dinon
is daur mein to pagalo dhanda hain qurbaten
dekho mafad soch ka mehwar hai in dinon
bujh kar hai fi-zamana nazar aur KHush-nazar
dil aur dil-fareb ujaD kar hai in dinon
ye shahrah-e-dil hi sirhana hai aaj-kal
ye gard-e-rahgir hi bistar hai in dinon
bigDa hai aaftab-e-muqaddar ka munh 'zubair'
sar par KHayal-e-yar ki chadar hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.