kaisi ye raushni hai bikharti nahin kabhi
kaisī ye raushnī hai bikhartī nahīñ kabhī
tārīk rāstoñ pe to paḌtī nahīñ kabhī
kaisā ye chhā gayā hai mirī zindagī pe zañg
koshish hazār pe bhī utartī nahīñ kabhī
yaksāniyat kā ho ga.ī unvān zindagī
bigḌī hai aisī baat sañvartī nahīñ kabhī
rahtā hai zindagī ko bahāroñ kā intizār
harkāt-e-kaj-ravāñ se to Dartī nahīñ kabhī
hai azm bhī buland masā.ib ke saath saath
chāhat mirī maqām se girtī nahīñ kabhī
hairāñ is hausle pe bhī dil ke huuñ maiñ ḳhalish
ḳhvāhish bhī un ke paane kī martī nahīñ kabhī
kaisi ye raushni hai bikharti nahin kabhi
tarik raston pe to paDti nahin kabhi
kaisa ye chha gaya hai meri zindagi pe zang
koshish hazar pe bhi utarti nahin kabhi
yaksaniyat ka ho gai unwan zindagi
bigDi hai aisi baat sanwarti nahin kabhi
rahta hai zindagi ko bahaaron ka intizar
harkat-e-kaj-rawan se to Darti nahin kabhi
hai azm bhi buland masaib ke sath sath
chahat meri maqam se girti nahin kabhi
hairan is hausle pe bhi dil ke hun main KHalish
KHwahish bhi un ke pane ki marti nahin kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.