kal aaj se behtar ho aao ye dua mangen
kal aaj se behtar ho aao ye duā māñgeñ
mansūr-o-muzaffar ho aao ye duā māñgeñ
duniyā kī fasīloñ par hoñ amn kī ra.anā.ī
ne ḳhuun na ḳhanjar ho aao ye duā māñgeñ
haiñ chaah meñ iqrā kī is ilm-e-do-ālam meñ
har qatra samundar ho aao ye duā māñgeñ
jo tafarqe ham meñ hai nashtar ke mumāsil hai
ab duur ye nashtar ho aao ye duā māñgeñ
chhoTā na baḌā koī bande haiñ sabhī rab ke
aalī na ho kamtar ho aao ye duā māñgeñ
sāleh thā amal jab tak sardār rahe ham hī
phir ham meñ amal-gar ho aao ye duā māñgeñ
kal aaj se behtar ho aao ye dua mangen
mansur-o-muzaffar ho aao ye dua mangen
duniya ki fasilon par hon amn ki ranai
ne KHun na KHanjar ho aao ye dua mangen
hain chah mein iqra ki is ilm-e-do-alam mein
har qatra samundar ho aao ye dua mangen
jo tafarqe hum mein hai nashtar ke mumasil hai
ab dur ye nashtar ho aao ye dua mangen
chhoTa na baDa koi bande hain sabhi rab ke
aali na ho kamtar ho aao ye dua mangen
saleh tha amal jab tak sardar rahe hum hi
phir hum mein amal-gar ho aao ye dua mangen
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 26)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.