kal aasman jaise koi shola-zar tha
kal āsmān jaise koī sho'la-zār thā
sūraj ke Dūbne meñ bhī kitnā vaqār thā
is anjuman meñ chhantī hamārī to kis ke saath
kamzoriyoñ kā naam vahāñ inkisār thā
hotā bhalā na 'arsh pe us kā dimāġh kyoñ
āḳhir vo barg-e-ḳhushk havāoñ kā yaar thā
har chand us kī aañch se rūheñ jhulas ga.iiñ
jismoñ kā lams phir bhī baḌā ḳhush-gavār thā
itnā bhī koī shaḳhs na tanhā ho ziist meñ
saarā jahān raat mirā ġham-gusār thā
'hairat' kuchh us kā haal hameñ bhī sunā.iye
jis bāda-kash ko bāda-parastī se 'aar thā
kal aasman jaise koi sho'la-zar tha
suraj ke Dubne mein bhi kitna waqar tha
is anjuman mein chhanti hamari to kis ke sath
kamzoriyon ka nam wahan inkisar tha
hota bhala na 'arsh pe us ka dimagh kyon
aaKHir wo barg-e-KHushk hawaon ka yar tha
har chand us ki aanch se ruhen jhulas gain
jismon ka lams phir bhi baDa KHush-gawar tha
itna bhi koi shaKHs na tanha ho zist mein
sara jahan raat mera gham-gusar tha
'hairat' kuchh us ka haal hamein bhi sunaiye
jis baada-kash ko baada-parasti se 'ar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.