kal bhi jale the dhup mein jalte hain aaj bhi
kal bhi jale the dhup mein jalte hain aaj bhi
Haatif Aarifi Fatehpuri
MORE BYHaatif Aarifi Fatehpuri
kal bhī jale the dhuup meñ jalte haiñ aaj bhī
ham log sach kī raah pe chalte haiñ aaj bhī
kal bhī mirā vajūd thā dushman ko nāgavār
kuchh log mere naam se jalte haiñ aaj bhī
hujre diloñ ke kis liye tārīk ho ga.e
taare to āsmāñ pe nikalte haiñ aaj bhī
un kī rafāqatoñ pe kareñ kaise e.atibār
ruḳh dekh kar havā kā badalte haiñ aaj bhī
dushman mile the pahle bhī apnoñ ke ruup meñ
kuchh saañp āstīn meñ palte haiñ aaj bhī
insāñ ke dukh pe aañkh kyoñ insāñ kī nam nahīñ
go chashme pattharoñ se ubalte haiñ aaj bhī
kal bhi jale the dhup mein jalte hain aaj bhi
hum log sach ki rah pe chalte hain aaj bhi
kal bhi mera wajud tha dushman ko nagawar
kuchh log mere nam se jalte hain aaj bhi
hujre dilon ke kis liye tarik ho gae
tare to aasman pe nikalte hain aaj bhi
un ki rafaqaton pe karen kaise eatibar
ruKH dekh kar hawa ka badalte hain aaj bhi
dushman mile the pahle bhi apnon ke rup mein
kuchh sanp aastin mein palte hain aaj bhi
insan ke dukh pe aankh kyon insan ki nam nahin
go chashme pattharon se ubalte hain aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.