kal chal diye tum bas puchh ke aur
kal chal diye tum bas pūchh ke aur
aur pūchhte kuchh kuchh pūchhte aur
maiñ sāmne thā tum sāmne thiiñ
mumkin nahīñ haiñ ab fāsle aur
takiya tasavvur kā ḳhabt hai ḳhuub
jo vaqt be-vaqt tujh ko chhue aur
guftār-e-mub.ham se tañg ho kar
farmā.e vo chashm farmā.iye aur
ik moḌ thā ḳhaas apne safar kā
ik moḌ thā aur phir rāste aur
maiñ badlā par kuchh na badlā dar-asl
vo koī aur hī thā aur ye aur
ham to sire DhūñDeñ aage pīchhe
aur ḳhalq phailā.e dā.ere aur
imkāñ mirā ḳhaak milātā hai sab ko
maiñ sifr se kam huuñ ek se aur
nākām hai lafz ma'ānī hai jhūTā
maiñ baat rakhtā huuñ bin-kahe aur
kal chal diye tum bas puchh ke aur
aur puchhte kuchh kuchh puchhte aur
main samne tha tum samne thin
mumkin nahin hain ab fasle aur
takiya tasawwur ka KHabt hai KHub
jo waqt be-waqt tujh ko chhue aur
guftar-e-mubham se tang ho kar
farmae wo chashm farmaiye aur
ek moD tha KHas apne safar ka
ek moD tha aur phir raste aur
main badla par kuchh na badla dar-asl
wo koi aur hi tha aur ye aur
hum to sire DhunDen aage pichhe
aur KHalq phailae daere aur
imkan mera KHak milata hai sab ko
main sifr se kam hun ek se aur
nakaam hai lafz ma'ani hai jhuTa
main baat rakhta hun bin-kahe aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.