kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha
kal ek shaḳhs jo achchhe-bhale libās meñ thā
barahna aaj vo utrā huā gilās meñ thā
ham āftāb-e-daraḳhshāñ jise samajhte the
vo ek vahm kā jugnū havas kī ghaas meñ thā
zamīn-o-arsh kī taqsīm ke zamāne meñ
bashar asīr-e-junūñ thā kahāñ havās meñ thā
azal se pahle hī dhun thī husūl-e-paikar kī
ye kā.enāt kā ḳhāka mire qayās meñ thā
maiñ kyā sulagte samundar se māñgtā paanī
vo ḳhud bhī ek zamāne se ġharq pyaas meñ thā
use nasīb kafan bhī nahīñ huā āḳhir
ki hisse-dār jo us khet kī kapās meñ thā
ham us savāl kā ab tak javāb de na sake
jo ik 'figār' kī pur-ashk chashm-e-yās meñ thā
kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha
barahna aaj wo utra hua gilas mein tha
hum aaftab-e-daraKHshan jise samajhte the
wo ek wahm ka jugnu hawas ki ghas mein tha
zamin-o-arsh ki taqsim ke zamane mein
bashar asir-e-junun tha kahan hawas mein tha
azal se pahle hi dhun thi husul-e-paikar ki
ye kaenat ka KHaka mere qayas mein tha
main kya sulagte samundar se mangta pani
wo KHud bhi ek zamane se gharq pyas mein tha
use nasib kafan bhi nahin hua aaKHir
ki hisse-dar jo us khet ki kapas mein tha
hum us sawal ka ab tak jawab de na sake
jo ek 'figar' ki pur-ashk chashm-e-yas mein tha
- Book : Ehsas Dar Ehsas (Pg. 19)
- Author : Amar Singh Figar
- Publication : Modern Publishing House (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.