kal hum ghurur-e-fan ki rawani mein phans gae
kal ham ġhurūr-e-fan kī ravānī meñ phañs ga.e
uulā likhā thā misra-e-sānī meñ phañs ga.e
bach ke nikal ga.e jo re.āyā ko bech kar
bad-qismatī se bijlī o paanī meñ phañs ga.e
likkhī thiiñ us ke jism pe aisī ibārateñ
ham is ġhazal ke lafz o ma.ānī meñ phañs ga.e
majbūr ho ke dene lage hijratoñ kā naam
jab bhī buzurg naql-e-makānī meñ phañs ga.e
āḳhir meñ film-sāz heroine ko le gayā
jitne the film-bīn kahānī meñ phañs ga.e
har saal naunihāl kī aamad gavāh hai
ham ishq kī yaqīn-dahānī meñ phañs ga.e
urdu ke imtihān meñ cheating ke bāvajūd
'hālī' pe note likh diyā 'fānī' meñ phañs ga.e
ham ne to ḳhud ''qubūl'' kahā thā ḳhushī ḳhushī
ab tak hai ġham ki ain-javānī meñ phañs ga.e
chāchā ko mil ga.ī thiiñ chachī māl-dār sī
māmūñ tamām umr mamānī meñ phañs ga.e
jo ashk bāñTte the bane 'mīr' o 'josh' o 'faiz'
ham lafz kī shagufta-bayānī meñ phañs ga.e
kal hum ghurur-e-fan ki rawani mein phans gae
ula likha tha misra-e-sani mein phans gae
bach ke nikal gae jo reaya ko bech kar
bad-qismati se bijli o pani mein phans gae
likkhi thin us ke jism pe aisi ibaraten
hum is ghazal ke lafz o maani mein phans gae
majbur ho ke dene lage hijraton ka nam
jab bhi buzurg naql-e-makani mein phans gae
aaKHir mein film-saz heroine ko le gaya
jitne the film-bin kahani mein phans gae
har sal naunihaal ki aamad gawah hai
hum ishq ki yaqin-dahani mein phans gae
urdu ke imtihan mein cheating ke bawajud
'haali' pe note likh diya 'fani' mein phans gae
hum ne to KHud qubul kaha tha KHushi KHushi
ab tak hai gham ki ain-jawani mein phans gae
chacha ko mil gai thin chachi mal-dar si
mamun tamam umr mamani mein phans gae
jo ashk banTte the bane 'mir' o 'josh' o 'faiz'
hum lafz ki shagufta-bayani mein phans gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.