kal humse mulaqat mein wo yar jo ki bahs
kal ham se mulāqāt meñ vo yaar jo kī bahs
maiñ bhī vahīñ ik baat meñ bezār ho kī bahs
laḌte na kisī tarah se us se kabhī hargiz
par kyā karūñ us vaqt maiñ lāchār ho kī bahs
laayā thā mire dil kī giraftārī kā sāmān
is vāste maiñ us se ba-takrār ho kī bahs
samjhā ke lagā kahne ki aa ham se tū mil jā
maiñ tere liye bar-sar-e-bāzār ho kī bahs
'miskīn' na jo tū ham se agar dil se milegā
kyuuñ tū ne mirā misl-e-ḳharīdār ho kī bahs
kal hum se mulaqat mein wo yar jo ki bahs
main bhi wahin ek baat mein bezar ho ki bahs
laDte na kisi tarah se us se kabhi hargiz
par kya karun us waqt main lachaar ho ki bahs
laya tha mere dil ki giraftari ka saman
is waste main us se ba-takrar ho ki bahs
samjha ke laga kahne ki aa hum se tu mil ja
main tere liye bar-sar-e-bazar ho ki bahs
'miskin' na jo tu hum se agar dil se milega
kyun tu ne mera misl-e-KHaridar ho ki bahs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.