kal jo jhonke KHizan ke chale aae the rang sara chaman ka uDa le gae
kal jo jhonke KHizan ke chale aae the rang sara chaman ka uDa le gae
Rahat Sultana
MORE BYRahat Sultana
kal jo jhoñke ḳhizāñ ke chale aa.e the rañg saarā chaman kā uḌā le ga.e
shāḳh se har kalī ko judā kar ga.e gul ke lab se hañsī ko churā le ga.e
ham musībat ke maare ġharīb-ul-vatan jab vatan se ḳhud apne nikāle ga.e
saath TuuTā huā ek dil le ga.e aur āñkhoñ meñ aañsū biThā le ga.e
yaad itnā hai ki paas aa.e the vo phir huā yuuñ havās apne gum ho ga.e
hosh aane pe ḳhud meñ kamī sī lagī maiñ samajh hī na paa.ī vo kyā le ga.e
har ḳhushī to chalī hī ga.ī thī magar terī yādoñ kā baaqī thā ik aasrā
vaqt ke tez tūfāñ jo ghir aa.e the āḳhirī aasrā bhī bahā le ga.e
ba.ad muddat ke rāhat laboñ par mire aa rahī thī hañsī dhīre dhīre magar
yak-ba-yak aa ke jhoñke tirī yaad ke phir laboñ se hañsī ko uḌā le ga.e
kal jo jhonke KHizan ke chale aae the rang sara chaman ka uDa le gae
shaKH se har kali ko juda kar gae gul ke lab se hansi ko chura le gae
hum musibat ke mare gharib-ul-watan jab watan se KHud apne nikale gae
sath TuTa hua ek dil le gae aur aankhon mein aansu biTha le gae
yaad itna hai ki pas aae the wo phir hua yun hawas apne gum ho gae
hosh aane pe KHud mein kami si lagi main samajh hi na pai wo kya le gae
har KHushi to chali hi gai thi magar teri yaadon ka baqi tha ek aasra
waqt ke tez tufan jo ghir aae the aaKHiri aasra bhi baha le gae
baad muddat ke rahat labon par mere aa rahi thi hansi dhire dhire magar
yak-ba-yak aa ke jhonke teri yaad ke phir labon se hansi ko uDa le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.