kal jo mumkin tha aaj hai hi nahin
kal jo mumkin thā aaj hai hī nahīñ
dard-mañd ab samāj hai hī nahīñ
us ko shak kī hai ek bīmārī
aur shak kā ilaaj hai hī nahīñ
kyā dikhā.eñ use ham ā.īna
us kī āñkhoñ meñ laaj hai hī nahīñ
mas.ale hal hoñ kaise jab ham meñ
quvvat-e-ehtijāj hai hī nahīñ
aaj insāf koī kyā paa.e
shāh-e-ādil kā raaj hai hī nahīñ
hai ta.alluq bhī maslahat-āmez
dilbarī kā rivāj hai hī nahīñ
ḳham kare sar dar-e-imārat par
'nasr' kā ye mizāj hai hī nahīñ
kal jo mumkin tha aaj hai hi nahin
dard-mand ab samaj hai hi nahin
us ko shak ki hai ek bimari
aur shak ka ilaj hai hi nahin
kya dikhaen use hum aaina
us ki aankhon mein laj hai hi nahin
masale hal hon kaise jab hum mein
quwwat-e-ehtijaj hai hi nahin
aaj insaf koi kya pae
shah-e-adil ka raj hai hi nahin
hai talluq bhi maslahat-amez
dilbari ka riwaj hai hi nahin
KHam kare sar dar-e-imarat par
'nasr' ka ye mizaj hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.