kal ka wada na karo dil mera bekal na karo
kal kā vaada na karo dil mirā bekal na karo
kal paḌegī na mujhe mujh se ye kal kal na karo
kahīñ jalā de na use shola-e-āh-e-āshiq
palkoñ kī TaTTī ke ta.iiñ āñkhoñ kī ojhal na karo
kar chukī teġh-e-nigāh kaam to pal hī meñ tamām
tiir palkoñ kā muqābil mire pal pal na karo
us ko har shab hai zavāl us ko nahīñ hai kuchh naqs
badr ko chehre se us ke mutamassil na karo
dukh na paave kahīñ vo nāznīñ-gardan pyāre
takiya zinhār sar-e-bālish-e-maḳhmal na karo
kal ka wada na karo dil mera bekal na karo
kal paDegi na mujhe mujh se ye kal kal na karo
kahin jala de na use shola-e-ah-e-ashiq
palkon ki TaTTi ke tain aankhon ki ojhal na karo
kar chuki tegh-e-nigah kaam to pal hi mein tamam
tir palkon ka muqabil mere pal pal na karo
us ko har shab hai zawal us ko nahin hai kuchh naqs
badr ko chehre se us ke mutamassil na karo
dukh na pawe kahin wo naznin-gardan pyare
takiya zinhaar sar-e-baalish-e-maKHmal na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.