kal KHwab mein mile the KHuda-e-suKHan mujhe
kal ḳhvāb meñ mile the ḳhudā-e-suḳhan mujhe
kahte haiñ lauñDe bāñTte haiñ fikr-o-fan mujhe
tā'mīr ke liye tū munāsib nahīñ rahī
ab ke mu'āf karnā ai arz-e-vatan mujhe
itnā jalā-bhunā huuñ mashaqqat kī aag meñ
mahsūs hotī hī nahīñ koī jalan mujhe
ignore kar diyā be-ḳhayālī meñ tanz ko
varna to ek gaam thā shahr-e-badan mujhe
ḳhātir meñ laatā hī nahīñ maiñ chhoTī moTī aag
qaa.il na kar badan ke liye bad-chalan mujhe
kal KHwab mein mile the KHuda-e-suKHan mujhe
kahte hain launDe banTte hain fikr-o-fan mujhe
ta'mir ke liye tu munasib nahin rahi
ab ke mu'af karna ai arz-e-watan mujhe
itna jala-bhuna hun mashaqqat ki aag mein
mahsus hoti hi nahin koi jalan mujhe
ignore kar diya be-KHayali mein tanz ko
warna to ek gam tha shahr-e-badan mujhe
KHatir mein lata hi nahin main chhoTi moTi aag
qail na kar badan ke liye bad-chalan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.