kal lag raha tha mujhko ki be-dast-o-pa hun main
kal lag raha tha mujhko ki be-dast-o-pa hun main
Preyas Hathi 'Raqim
MORE BYPreyas Hathi 'Raqim
kal lag rahā thā mujh ko ki be-dast-o-pā huuñ maiñ
aur aaj phir se pairoñ pe apne khaḌā huuñ maiñ
kuchh gaam maslahat kī bhī rah par chalā huuñ maiñ
kahne ko rāhgīr rah-e-shauq kā huuñ maiñ
ohde ko maiñ kisī ke kabhī pūjtā nahīñ
kirdār hī ke aage hamesha jhukā huuñ maiñ
ash.ār mere kyā haiñ faqat kuchh ta.assurāt
duniyā agar kitāb hai to hāshiya huuñ maiñ
bezār ho sakeñge na ik dūsre se ham
tū merā aa.ina hai tirā aa.ina huuñ maiñ
kal lag raha tha mujh ko ki be-dast-o-pa hun main
aur aaj phir se pairon pe apne khaDa hun main
kuchh gam maslahat ki bhi rah par chala hun main
kahne ko rahgir rah-e-shauq ka hun main
ohde ko main kisi ke kabhi pujta nahin
kirdar hi ke aage hamesha jhuka hun main
ashaar mere kya hain faqat kuchh tassuraat
duniya agar kitab hai to hashiya hun main
bezar ho sakenge na ek dusre se hum
tu mera aaina hai tera aaina hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.