kal lahakti chandni ne aur bhi tanha kiya
kal lahaktī chāñdnī ne aur bhī tanhā kiyā
maiñ añdhere band kamre meñ paḌā royā kiyā
āñdhiy.oñ kī zad meñ aa kar ārzūoñ kā shajar
ḳhushk patte sā saham kar ḳhauf se larzā kiyā
gahre paanī ke sukūñ kā raaz paane ke liye
us kī tah meñ Duub jā.ūñ der tak sochā kiyā
laash us kī mat jalāo sard miTTī Daal kar
zindagī meñ jo bichāra aag meñ jhulsā kiyā
vaqt ne 'fikrī' malī hai ḳhaak aisī shakl par
vo bhī mujh ko ġhair ban kar duur se dekhā kiyā
kal lahakti chandni ne aur bhi tanha kiya
main andhere band kamre mein paDa roya kiya
aandhiyon ki zad mein aa kar aarzuon ka shajar
KHushk patte sa saham kar KHauf se larza kiya
gahre pani ke sukun ka raaz pane ke liye
us ki tah mein Dub jaun der tak socha kiya
lash us ki mat jalao sard miTTi Dal kar
zindagi mein jo bichaara aag mein jhulsa kiya
waqt ne 'fikri' mali hai KHak aisi shakl par
wo bhi mujh ko ghair ban kar dur se dekha kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.