kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise
kal mujhe dekh ke thā aa.ina chauñkā jaise
mere chehre meñ chhupā ho koī chehra jaise
ham-kalāmī bhī miTātī nahīñ duurī kī ḳhalīj
beach se TuuT gayā dard kā rishta jaise
lahr halkī sī fazāoñ meñ jo ubhrī Duubī
dard kī shāḳh se TuuTā koī pattā jaise
kitne bikhre hue ḳhvāboñ kā khañDar lagtā hai
vaqt ne de diyā us shaḳhs ko dhokā jaise
dil ko chhūtī huī yuuñ dard kī lahreñ guzrīñ
phir koī jhiil meñ lagtā hai ki Duubā jaise
yuuñ har ik fard-e-tahayyur kī hai tasvīr 'shamīm'
shahr meñ rāsta bhūlā huā bachcha jaise
kal mujhe dekh ke tha aaina chaunka jaise
mere chehre mein chhupa ho koi chehra jaise
ham-kalami bhi miTati nahin duri ki KHalij
beach se TuT gaya dard ka rishta jaise
lahr halki si fazaon mein jo ubhri Dubi
dard ki shaKH se TuTa koi patta jaise
kitne bikhre hue KHwabon ka khanDar lagta hai
waqt ne de diya us shaKHs ko dhoka jaise
dil ko chhuti hui yun dard ki lahren guzrin
phir koi jhil mein lagta hai ki Duba jaise
yun har ek fard-e-tahayyur ki hai taswir 'shamim'
shahr mein rasta bhula hua bachcha jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.