kal pahli bar us se inayat si ho gai
kal pahlī baar us se ināyat sī ho ga.ī
kuchh is tarah ki mujh ko shikāyat sī ho ga.ī
aayā hai ab ḳhayāl-e-talāfī tujhe ki jab
is dil ko tere hijr kī aadat sī ho ga.ī
pahle-pahal to aam sī laḌkī lagī mujhe
phir yuuñ huā ki us se mohabbat sī ho ga.ī
itne tavīl arse se ham saath saath haiñ
ab ek dūsre kī zarūrat sī ho ga.ī
ik baar ittifāq se sach maiñ ne kah diyā
phir us ke ba.ad jhuuT se nafrat sī ho ga.ī
dil jab bhī chāhtā hai tujhe soch letā huuñ
tere ḳhayāl par mujhe qudrat sī ho ga.ī
kal pahli bar us se inayat si ho gai
kuchh is tarah ki mujh ko shikayat si ho gai
aaya hai ab KHayal-e-talafi tujhe ki jab
is dil ko tere hijr ki aadat si ho gai
pahle-pahal to aam si laDki lagi mujhe
phir yun hua ki us se mohabbat si ho gai
itne tawil arse se hum sath sath hain
ab ek dusre ki zarurat si ho gai
ek bar ittifaq se sach main ne kah diya
phir us ke baad jhuT se nafrat si ho gai
dil jab bhi chahta hai tujhe soch leta hun
tere KHayal par mujhe qudrat si ho gai
- Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 59)
- Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
- Publication : Jahangir Books (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.