kal patang usne jo bazar se mangwa bheja
kal patang usne jo bazar se mangwa bheja
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
kal patañg us ne jo bāzār se mañgvā bhejā
saada māñjhe kā use maah ne golā bhejā
naam kā us ke jo maiñ kah ke muammā bhejā
ye bhī harakat hai burī us ne ye farmā bhejā
us kī farmā.isheñ kyā kyā na bajā laayā maiñ
kabhī paTTā kabhī lachkā kabhī goTā bhejā
qais o farhād ko jāgīr yahī ishq ne dī
ek ko koh milā ek ko sahrā bhejā
sozan o shāna o ā.īna ḳharīde ham ne
kabhī bhejā bhī to us gul ko ye saudā bhejā
phir tah-e-ḳhāk mirā dāġh-e-jigar taaza huā
kis ne turbat pe mirī lāla-e-hamrā bhejā
āshiqoñ meñ use ginte nahīñ vārasta-mizāj
jis ne tā-nok-e-qalam harf-e-tamannā bhejā
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar kulfat-e-ġham dard-e-firāq
hazrat-e-ishq ne kyā kyā nahīñ tohfa bhejā
'mus.hafī' jā ke vahāñ bhuul ga.e kyā ham ko
kabhī yārān-e-adam ne jo na purza bhejā
kal patang us ne jo bazar se mangwa bheja
sada manjhe ka use mah ne gola bheja
nam ka us ke jo main kah ke muamma bheja
ye bhi harakat hai buri us ne ye farma bheja
us ki farmaishen kya kya na baja laya main
kabhi paTTa kabhi lachka kabhi goTa bheja
qais o farhad ko jagir yahi ishq ne di
ek ko koh mila ek ko sahra bheja
sozan o shana o aaina KHaride hum ne
kabhi bheja bhi to us gul ko ye sauda bheja
phir tah-e-KHak mera dagh-e-jigar taza hua
kis ne turbat pe meri lala-e-hamra bheja
aashiqon mein use ginte nahin warasta-mizaj
jis ne ta-nok-e-qalam harf-e-tamanna bheja
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar kulfat-e-gham dard-e-firaq
hazrat-e-ishq ne kya kya nahin tohfa bheja
'mushafi' ja ke wahan bhul gae kya hum ko
kabhi yaran-e-adam ne jo na purza bheja
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.