kal qayamat hai qayamat ke siwa kya hoga
kal qayāmat hai qayāmat ke sivā kyā hogā
ai maiñ qurbān-e-vafā vāda-e-fardā hogā
hashr ke roz bhī kyā ḳhūn-e-tamannā hogā
sāmne ā.eñge yā aaj bhī pardā hogā
ham nahīñ jānte haiñ hashr meñ kyā kyā hogā
ye ḳhushī hai ki vafā va.ada-e-fardā hogā
tū batā de hameñ sadqe tire ai shān-e-karam
ham gunahgār haiñ kyā hashr hamārā hogā
laakh pardoñ meñ koī ai nigah-e-shauq rahe
dekh legā jo koī dekhne vaalā hogā
aisī le de huī aa kar ki ilāhī-tauba
ham samajhte the ki mahshar meñ tamāshā hogā
sa.ī har gaam meñ kī hai ye samajh kar ham ne
vahī hogā jo mashiyyat kā taqāzā hogā
pī ke aayā araq-e-sharm jabīñ par jo kabhī
chehre par bāda-kasho nuur barastā hogā
rahne degā na dam-e-zabh koī halq ko ḳhushk
mai-kade meñ hameñ itnā to sahārā hogā
mujhe kyā Dar hai ki hoñge mire sarkār shafī.a
mujhe kyā Dar hai ki tū baḳhshne vaalā hogā
sharm-e-isyāñ se nahīñ uThtī haiñ palkeñ apnī
ham gunahgār se kyā hashr meñ pardā hogā
ka.aba sunte haiñ ki ghar hai baḌe daatā kā 'riyāz'
zindagī hai to faqīroñ kā bhī pherā hogā
kal qayamat hai qayamat ke siwa kya hoga
ai main qurban-e-wafa wada-e-farda hoga
hashr ke roz bhi kya KHun-e-tamanna hoga
samne aaenge ya aaj bhi parda hoga
hum nahin jaante hain hashr mein kya kya hoga
ye KHushi hai ki wafa wada-e-farda hoga
tu bata de hamein sadqe tere ai shan-e-karam
hum gunahgar hain kya hashr hamara hoga
lakh pardon mein koi ai nigah-e-shauq rahe
dekh lega jo koi dekhne wala hoga
aisi le de hui aa kar ki ilahi-tauba
hum samajhte the ki mahshar mein tamasha hoga
sai har gam mein ki hai ye samajh kar hum ne
wahi hoga jo mashiyyat ka taqaza hoga
pi ke aaya araq-e-sharm jabin par jo kabhi
chehre par baada-kasho nur barasta hoga
rahne dega na dam-e-zabh koi halq ko KHushk
mai-kade mein hamein itna to sahaara hoga
mujhe kya Dar hai ki honge mere sarkar shafia
mujhe kya Dar hai ki tu baKHshne wala hoga
sharm-e-isyan se nahin uThti hain palken apni
hum gunahgar se kya hashr mein parda hoga
kaba sunte hain ki ghar hai baDe data ka 'riyaz'
zindagi hai to faqiron ka bhi phera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.