kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha
kal raat dil meñ yādoñ kā mela lagā rahā
maazī ko chashm-e-hāl se maiñ dekhtā rahā
tere baġhair jī to na sakte the ham magar
ġham terā zindagī kā sahārā banā rahā
muñh meñ zabāñ na rakhte the terī galī ke log
maiñ pattharoñ se terā patā pūchhtā rahā
zindān-e-ehtiyāt meñ guzrī tamām umr
maiñ jurm-e-āgahī kī sazā kāTtā rahā
shal ho gayā vajūd to 'ābid' khulā ye bhed
maiñ jis ko DhūñDhtā thā vo mujh maiñ chhupā rahā
kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha
mazi ko chashm-e-haal se main dekhta raha
tere baghair ji to na sakte the hum magar
gham tera zindagi ka sahaara bana raha
munh mein zaban na rakhte the teri gali ke log
main pattharon se tera pata puchhta raha
zindan-e-ehtiyat mein guzri tamam umr
main jurm-e-agahi ki saza kaTta raha
shal ho gaya wajud to 'abid' khula ye bhed
main jis ko DhunDhta tha wo mujh main chhupa raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.