kal raat main shikast-e-sitamgar se KHush hua
kal raat maiñ shikast-e-sitamgar se ḳhush huā
vo ro paḌā to dil mirā andar se ḳhush huā
dariyā thā chāñd-rāt thī aur us kā saath bhī
lekin maiñ ek aur hī manzar se ḳhush huā
ḳhush vo hai jis ke vāste duniyā sarāb hai
us kī ḳhushī bhī kyā jo mayassar se ḳhush huā
us āsmāñ ke nīche nahīñ aisī koī baat
jo ḳhush huā vo apne muqaddar se ḳhush huā
ruk sā gayā thā aañkh kī ḳhushkī ke darmiyāñ
chhalkā to maiñ bhī apne samundar se ḳhush huā
maiñ us ke ham-safar se milā is tapāk se
andar se jal ke rah gayā bāhar se ḳhush huā
ġham bāñTanā to rasm-e-jahāñ hai magar 'jamāl'
vo ḳhush huā to maiñ bhī barābar se ḳhush huā
kal raat main shikast-e-sitamgar se KHush hua
wo ro paDa to dil mera andar se KHush hua
dariya tha chand-raat thi aur us ka sath bhi
lekin main ek aur hi manzar se KHush hua
KHush wo hai jis ke waste duniya sarab hai
us ki KHushi bhi kya jo mayassar se KHush hua
us aasman ke niche nahin aisi koi baat
jo KHush hua wo apne muqaddar se KHush hua
ruk sa gaya tha aankh ki KHushki ke darmiyan
chhalka to main bhi apne samundar se KHush hua
main us ke ham-safar se mila is tapak se
andar se jal ke rah gaya bahar se KHush hua
gham banTana to rasm-e-jahan hai magar 'jamal'
wo KHush hua to main bhi barabar se KHush hua
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 124)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.