kal raat yun hua ki pahar-do-pahar gae
kal raat yuuñ huā ki pahar-do-pahar ga.e
koī kuchh aise chīḳh paḌā log Dar ga.e
Duubā ġharīb chāñd to agnī baras paḌī
vo dhuup chamchamā.ī ki chehre utar ga.e
kuchh ajnabī sī lagtī haiñ shāḳheñ harī-bharī
thā jin pe terā saaya vo patte kidhar ga.e
sapnoñ kī khoj hī meñ kaTegī ye raat bhī
aisī havā chalī hai ki bādal bikhar ga.e
is saal jin dinoñ meñ tirā qurb thā nasīb
aa.ī na terī yaad vo din bhī guzar ga.e
rāhoñ meñ yuuñ na baiTh raheñ ḳhānumāñ-ḳharāb
jin kī nazar huī thī vo sab log ghar ga.e
yuuñ to vo dekhne ko thā saada sā aadmī
jo log luT ga.e vo kisī baat par ga.e
barsoñ hī us ne phuul khilā.e haiñ dhuup meñ
ik umr ho chalī hai jise baam par ga.e
kal raat yun hua ki pahar-do-pahar gae
koi kuchh aise chiKH paDa log Dar gae
Duba gharib chand to agni baras paDi
wo dhup chamchamai ki chehre utar gae
kuchh ajnabi si lagti hain shaKHen hari-bhari
tha jin pe tera saya wo patte kidhar gae
sapnon ki khoj hi mein kaTegi ye raat bhi
aisi hawa chali hai ki baadal bikhar gae
is sal jin dinon mein tera qurb tha nasib
aai na teri yaad wo din bhi guzar gae
rahon mein yun na baiTh rahen KHanuman-KHarab
jin ki nazar hui thi wo sab log ghar gae
yun to wo dekhne ko tha sada sa aadmi
jo log luT gae wo kisi baat par gae
barson hi us ne phul khilae hain dhup mein
ek umr ho chali hai jise baam par gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.