kal tak ye phul ruh-e-rawan the bahaar ke
kal tak ye phuul rūh-e-ravāñ the bahār ke
tum ne abhī abhī jinheñ pheñkā utaar ke
dekhā to zarre zarre meñ jalve haiñ yaar ke
pachhtā rahā huuñ dair-o-haram meñ guzār ke
is kā to ġham nahīñ ki nasheman ujaḌ gayā
is kā qalaq rahegā ki din the bahār ke
ġham se kabhī gurez kabhī sāz-bāz hai
hālāt kyā batā.ūñ dil-e-be-qarār ke
aa.e haiñ muddatoñ meñ jo dam bhar ke vāste
hālāt pūchhte haiñ shab-e-intizār ke
qurbān jā.ūñ husn-e-tasavvur ke ai 'ra.īs'
pesh-e-nazar ḳhizāñ meñ haiñ ḳhāke bahār ke
kal tak ye phul ruh-e-rawan the bahaar ke
tum ne abhi abhi jinhen phenka utar ke
dekha to zarre zarre mein jalwe hain yar ke
pachhta raha hun dair-o-haram mein guzar ke
is ka to gham nahin ki nasheman ujaD gaya
is ka qalaq rahega ki din the bahaar ke
gham se kabhi gurez kabhi saz-baz hai
haalat kya bataun dil-e-be-qarar ke
aae hain muddaton mein jo dam bhar ke waste
haalat puchhte hain shab-e-intizar ke
qurban jaun husn-e-tasawwur ke ai 'rais'
pesh-e-nazar KHizan mein hain KHake bahaar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.